Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Wednesday, January 27, 2016

Mujh ko yaqeen hai sach kahti thien jo bhi ammi kahti thien

Mujh ko yaqeen hai sach kahti thien jo bhi ammi kahti thien
jab mere bachpan k din thay, chand me pariyaan rahti thien

ek ye din jab apnon ne bhi hum se naataa tor liyaa
ek wo din jab per ki shaakhen bojh hamara sahti thien

ek ye din jab sari sarken roothi roothi lagti hain
ek wo din jab ‘aao khelain’ saari galiyaan kahti thien

ek ye din jab jaagi raatain deewaaron ko takti hain
ek wo din jab shamon ki bhi palken bojhal rahti thien

Ek ye din jab zehn me saari aiyyaari ki baten hain
ek wo din jab dil me bholi bhaali baten rahti thien

Ek ye din jab laakhon gham aur kaal para hai aansu ka
ek wo din jab ek zara si baat pe nadiyaan bahti thien


Ek ye ghar jis ghar me mera saaz o saamaan rahta hai
ek wo ghar jis ghar me meri burhi naani rahti thien

No comments:

Post a Comment