Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Monday, February 29, 2016

Hijr Ki Shab Nala-E-Dil Woh Sada Dene Lage

Hijr Ki Shab Nala-E-Dil Woh Sada Dene Lage
Sunne Wale Rat Kko Katne Ki Dua Dene Lage

Kis Nazr Se Ap Ne Dekha Dil-E-Majrooh Ko
Zakhum Ko Kuch Bhar Chale The Phr Hawa Dene Lage

Juz Zameen Koo-E-Janan Kuch Nahin Paish-E-Nigah
Jjis Ka Darwaza Nazr Aya Sada Dene Lage

Baghban Ne Ag Di Jab Gulshan Ko Mere
Jin Pe Takya Tha Wohi Pattey Hawa Dene Lage

Muthiyoun Mein Khak Le Kar Dost Aye Waqt-E-Dafn
Zindagi Bhar Ki Muhabbat Ka Sila Dene Lage

Ayina Ho Jaye Mera Ishq Un Ke Husn Ka
Kya Maza Ho Dard Agr Khud Hi Dawa Dene Lage

Na jane kitni Muhabbat hai ranj-o-gham se mjhy



Na jane kitni Muhabbat hai ranj-o-gham se mjhy


koi bhi dard ho dil mein chupana chahta hooun

Bohat Kuch Tujh Se Barh Kar Bhi Mayassar Tha, Mayassar Hai



Bohat Kuch Tujh Se Barh Kar Bhi Mayassar Tha Mayassar Hai


Na Jane Phir Bhi Kyun Teri Zaroorat Kam Nahin Hoti

Jalte Hountoun Pe Tabassum Jo Machalta Hai Kabhi

Jalte Hountoun Pe Tabassum Jo Machalta Hai Kabhi
Zakham Dhul Jate Hain Sawan Jo Barasta Hai Kabhi

Main Ne Sochoun Main Tarashay Hain Khad-O-Khal Tere
Mere Baray Main Bata Tum Ne Bhi Socha Hai Kabhi

Charhtay Suraj Se Kabhi Tum Ne Milayi Hain Nazren
Tum Ne Kirnoun Ki Taraf Ghor Se Dekha Hai Kabhi

Log Pathar Main Khilate Hain Umeedoun Ke Gulab
Yun Bhi Mumkin Hai Bata Aisa Bhi Hota Hai Kabhi

Tum Ne Samjha Tha Ke Main Lot Ke A Jaounga
Ankh Se Bichra Hua Ashk Bhi Lota Hai Kabhi

Agar Na Badlu Teri Khatir Har Aik Cheez To Kehna

Agar Na Badlu Teri Khatir Har Aik Cheez To Kehna


To Apne Aap Me Pehle Andaz- E-Wafa To Paida Kar

Tuesday, February 23, 2016

Na Raha Karo Udaas Kisi Bewafa Ki Yaad Me

Na Raha Karo Udaas Kisi Bewafa Ki Yaad Me


Wo Khush Hai Apni Duniya Mein Teri Duniya Ko Ujaar Kar

Muddat Hui Hai Yar Ko Mehmaan Kiye Hue

Muddat Hui Hai Yar Ko Mehmaan Kiye Hue
Dil Zid Pe Arh Gaya Wohi Armaan Liye Hue

Dil Mera Shikasta Hai Teri Baaton Se Phir Se
Is Raaz Ko Kehna Hai Yehi Raaz Liye Hue

Manind Bahar Hum Ne Guzara Hai Tera Sath
Ab Kaanton Pe Chalna Hai Wohi Gulzar Liye Hue

Us Lamha Qayamat Si Guzar Jati Hai Dil Pe
Us Raah Pe Thehrun Jab Wohi Maat Liye Hue

Sajdon Se Na Aahon Se Na Koshish Se Tu Hasil
Phir Tujh Ko Manana Hai Teri Baat Liye Hue

Jeeny Ki Wajah De Ya Marny Ka Bahana De
Is Aas Main Thehra Hun Yehi Aas Liye Hue

Anjum Ki Ye Fitrat Hai Kabhi Haar Na Many
Phir Fatah Ko Paana Hai Wohi Maat Liye Hue...


Us Raat Bohat Tum Yaad Aaye, Us Raat Tmhain Pukara Bi

Us Raat Bohat Tum Yaad Aaye
Us Raat Tmhain Pukara Bi

Is Pagal Bekal Dharkan Ko
Kuch Dair Yunhi Sambhala Bhi

Phir Jaisey Jaisey Raat Barhi
Aik Sargoshi Si Sunai Di

Main Hath Kabhi Na Chorunga
Main Dil Kabhi Na Toron Ga

Par Sath To Tum Ne Chor Dia
Janey Kyun Mun Mor Lia

Jis Dil Mai Sirf Tum Bastey They
Us Dil Ko Kese Tor Dia

Han Aik Ghalti Jo Hum Se Hui
Dil Jan Tum Hi Per Var Diya

Jis Din Ko Tumne Raat Kaha
So Hum Ne Bhi Wo Man Lia

Pas Chaltey Suraj Ab Jab Hum
Apney Ghar Ko Laut’tey Hain

Thakey Thakey Aur Tanha Se
Jab Dil Ko Yunhi Tatoltey Hain

Aur Raat K Gehrey Pardon Main
Jab Chup Ky Chup Ky Rotey Hain

Tab Yaad Bohat Tum Aatey Ho

Aik Umeed Hai K Shayad
 Tum Laut K Wapis Aao Gy

Itni Mohabbat Itni Shiddat
Aur Kahan Tum Pao Gy

Jab Dali Dali Urty Urty
Tum Kabhi Thak Jao Gy

Jab Meeloun Safar K Baad Bhi Tum
Manzil Ko Kahin Na Pao Gy

Mujhe Umeed Hai Ky Ek Din
Tum Loat K Wapis Aao Gy

Dhoundtey Hien Phir Woh Chehra Teswiroun Mein

Dhoundtey Hien Phir Woh Chehra Teswiroun Mein
Tumharey Hath Ki Likhy Hooi Un Tehriroun Mein

Laakh Katney Se Be Jo Khabi Katti Nehi
Na Jane Hai Kesi Muzbouti Ishq Ki In Zinjiroun Mein

Ye Duniya Hazaraha Sitam Kerley Un Per
Woh Mil He Jatey Hein Jinka Milna Hai Taqdiroun Mein

Main Kiyun Na Talaash Karoun Usko

Akhar Jo Kahta Tha Woh Basa Hai Hathoun Ke Likiroun Mein

Yeh Inayaten Ghazab Ki Yeh Bala Ki Maharbani

Yeh Inayaten Ghazab Ki Yeh Bala Ki Maharbani


Meri Khairiyat Bhi Poochhi Kisi Or Ki Zubani

Zindgi Tham Si Gyi Hai Uske Janey Ke Baad

Zindgi Tham Si Gyi Hai Uske Janey Ke Baad
Woh Zakham Phir Hara Ho Giya Naam Uska Duhrane Ke Baad

Yadoun Ka Ik Toufan Umad Para Hai Dil Mien
Zahen Mien Sanam Ka Khiyal Aaney Ke Baad

Shayed Hum Purey Na Utar Sakey Uskey Miyaar Per
Islayee Woh Humien Chor Gia Aazmaney Ke Baad

Ghumoun Mien Be Rahat Si Lagti Hai Mujhe
 Usko Apney Tusawar Mien Laaney Ka Baad

Woh Itna Door Hogia Hai Mugh Se

Phir Lote Ker Na Aaya Mere Laakh Bulaney Ke Baad

Houn Gy Bohat Chahne Waly Tery Zamany Mein

Houn Gy Bohat Chahne Waly Tery Zamany Mein


Lekin Woh Baat Kaha,N Jo Hai Is Diwany Mein

Aye raat sony dy youn tang na kia ker

Aye raat sony dy youn tang na kia ker
Bekaar sawaloun main paband na kia ker

Is ke siwa aur bhi zamany k kaam hain
Tu mere khayalat be_dhang na kia ker

Duniya main aur log bhi basty hain tanha
Tu sirf mere sath hi jang na kia ker

Mazboot hon pr itni bhi nahi houn

Duniya k sabhi gham to mere sang na kia ker

Kitni Majboorian Hum Palkon Pe Saja Letey Hain

Kitni Majboorian Hum Palkon Pe Saja Letey Hain
Hum Kahan Rotey Hen Halaat Rula Detey Hain

Yaad Rehtey Hen Buray Waqt K Sathi Kis Ko?
Subah Hotey Hi Log Shama Bujha Detey Hain

Sath Hotey Hen To Lagta Hai K Sadiyon Ka Hai Sath

Door Hotey Hen To Faqat Ek Pal Mai Bhula Detey Hian

Mumkin Nahi K Wo Mujh Ko Bhula Day Ga

Mumkin Nahi K Wo Mujh Ko Bhula Day Ga
Wo To Her Pal Hr Dm Mujh Ko Dua Dy Ga

Piyar Dya Hai Is Qadar Usko Main Nay

Kis Tarha Wo Kisi Ko Meri Jagha Day Ga

Kisi Pathar Numa Dil Per Bhi Dasktak Ho Hi Jati Hai

Kisi Pathar Numa Dil Per Bhi Dasktak Ho Hi Jati Hai
K Hasrat Jaag Jae To Qayamat Ho Hi Jati Hai

Kisi Anjaan Chehray Se Kisi Pur Lutf Lamhay Mei
Jo Karna Na Bhi Chaho To Mohabbat Ho Hi Jati Hai

Kisi Khamosh Chehray Se Musalsal Ashk Behnay Per
Chupana Bhi Agar Chaho Wazahat Ho Hi Jati Hai

Kisi K Door Janay Per Umeedain Toot Janay Par
Wafa Main Rog Milnay Ki Shikayat Ho Hi Jati Hai

Ye Tum Ne Bhi Suna Ho Ga Zamana Aisay Kehta Hai

K Jab Bhi Ishq Hota Hai Baghawat Ho Hi Jati Hai

Jaa Tujhe Tere Haal Pe Chora




Jaa Tujhe Tere Haal Pe Chora


Is Se Behter Teri Saza Bhi Kaa Hai

Ik Arzoo Hai Puri Parwrdigar Kary

Ik Arzoo Hai Puri Parwrdigar Kary
Mein Dair Say Jaon Wo Mere Intzar Kary

Apne Hathon Say Sanwarun Zlfein Uski
Wo Sharma Ker Mohabbat Ka Iqrar Kary

Lipat Jaye Mujhse Aalm E Madhoshi Mein
Or Josh E Janun Mein Mohabaat Ka Izhar Kary

Qasam Khada Ki Main Kisi Or Ki Ho Nahi Sakti
Ye Wada E Wafa Wo Bar Bar Kary

Bikhrey Aansoo K Moti Hum Piro Na Saky

Bikhrey Aansoo K Moti Hum Piro Na Saky
Teri Yaad Me Saari Raat So Na Saky

Beh Na Jaye Aansoo Main Tasvir Teri

Bus Yahi Soch Kar Hum Ro Na Saky

Dheere Dheere Se Ab Tere Pyaar Ka Dard Kam Hua

Dheere Dheere Se Ab Tere Pyaar Ka Dard Kam Hua
Na Tere Aane Ki Khushi Hui Aur Na Jaane Ka Gam Hua

Jab Log Mujhse Puchte Hain Hamari Mohabat Ki Dastaan
Main Keh Deti Hun Ki Ek Fasana Tha Jo Ab Khatm Hua

Is Se Pahle K Bewafa Ho Jayen

Is Se Pahle K Bewafa Ho Jayen
Kyun Na Ai Dost Ham Judaa Ho Jayen

To Bhi Heere Se Ban Gyaa Pathar
Ham Bhi Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jayen

Ham Bhi Majboriyon Ka Uzr Karyn
Phir Kahin Aur Mubtilaa Ho Jayen

Ab Ke Gar Too Mile To Ham Tujh Se
Aise Lipten Teri Qabaa Ho Jayen

Bandagi Hamne Chhod Di Faraaz

Kyaa Karyn Log Jab Khuda Ho Jayen

Har Tamashai Faqat Sahil Se Manzar Dekhta

Har Tamashai Faqat Sahil Se Manzar Dekhta
Kon Dariyaa Ko Ulataa Kon Gauhar Dekhta

Wo To Duniya Ko Meri Deewaangi Khush Aa Gai
Tere Haathon Men Wagarna Pahla Patthar Dekhta

Aankh Men Aansoo Jhade The Par Sada Tujh Ko Na Di
Is Tawaqqo Par Ki Shaayad To Palat Kar Dekhta

Meri Qismat Ki Lakeren Mere Haathon Men Na Thin
Tere Maathe Par Koi Mera Muqaddar Dekhta

Zindagi Phaili Hui Thi Shaam-E- Hijraan Ki Tarah
Kis Ko Itnaa Hausala Tha Kon Jee Kar Dekhta

Doobne Waala Tha Aur Saahil Pe Chehron Kaa Hujoom
Pal Ki Mohlat Thi Main Kis Ko Aankh Bhar Ke Dekhta

Tu Bhi Dil Ko Ik Lahoo Ki Boond Samjha Hai Faraz

Aankh Gar Hoti To Qatre Men Samandar Dekhta

Raat Ki Aghosh Men Aa Jaye Ager Khayal Uska



Raat Ki Aghosh Men Aa Jaye Ager Khayal Uska

Subha Bistar Se Bhi Phooloun Ki Mehak Aati Hai

Kya Aise Kam-Sukhan Se Koi Guftagoo Kary

Kya Aise Kam-Sukhan Se Koi Guftagoo Kary
Jo Mustaqil Sukoot Se Dil Ko Lahoo Kary

Ab Tu Hamen Bhi Tark-E- Maraasim Ka Dukh Nahin
Par Dil Ye Chaahtaa Hai Ke Aaghaaz Tu Kary

Tere Baghair Bhi To Ghaneemat Hai Zindagi
Khud Ko Ganwa K Kon Teri Justujo Kary

Ab To Ye Aarzo Hai K Wo Zakhm Khaaiye
Taa-Zindagi Ye Dil Na Koi Aarzo Kary

Tujh Ko Bhula K Dil Hai Wo Sharminda-E-Nazar
Ab Koi Hadsa Hi Tere Ru-Ba- Ro Kary

Chup Chaap Apni Aag Mein Jalte Raho Faraz
Duniyaa To Gharz-E-Haal Se Be- Aabro Kary

Q Rakhtay Ho Is Tarha Mera Khayal K Ab

Q Rakhtay Ho Is Tarha Mera Khayal K Ab
Har Lamha Udaas Rehne Ko G Karta Hai

Q Maante Ho Har Ik Baat Ko Meri K Ab
Tum Ko Tum Hi Se Mangne Ko G Karta Hai

Tum Jo Chalo Sath To Koi Shikva Nahi Zindagi Se
K Ab To Kanton Pe Bhi Chalne Ko G Karta Hai

Darr He K Is Safar Main Tanha Na Reh Jaon

K Ab Umar Bhar Tera Sath Nibhanay Ko G Chahta Hai

Apne Haathon Ki Hatheli Par Us Ka Naam To Likh Liye

Apne Haathon Ki Hatheli Par Us Ka Naam To Likh Liye


Par Yeh Na Socha Ke Taqdeer Khuda Likhta Hai Insan Nahi

Pareshaan Raat Ho Jeye Jo Apni Daastaan Keh Doun



Pareshaan Raat Ho Jeye Jo Apni Daastaan Keh Doun


Main Chup Reh Ker Shab E Tareek Py Ehsaan Karta Houn

Tum Aao Meray Aangan Mein Zra Sham K Baad

Tum Aao Meray Aangan Mein Zra Sham K Baad
Mil K Mangen Ge Mohabat Ki Dua Sham K Baad

Jin Ki Taqdeer Mein Khawab Nahi Neend Nahi
Aur Letay Hain Sitaron Ki Rida Sham K Baad

Aao Mil Baith K Kuch Waqt Guzaren Jaana
Main Sunaon Tujhy Tu Apni Suna Sham K Baad

Tum Mujhy Chor Gye Sham Se Pehle Pehle
Yeh Na Poocho Mera Kia Haal Hua Sham K Baad


Tum Yahan Thay To Her Ek Sham Saji Rehti Thi
Ab To Lagta Hai Sham Hoti Nahi Sham K Baad

Tujhse Bichar Ke Hum Bhi Muqaddar Ke Ho Gaye

Tujhse Bichar Ke Hum Bhi Muqaddar Ke Ho Gaye
Phir Jo Bhi Darr Mila Hai Usi Darr Ke Ho Gaye,

Phir Youn Hua K Ghair Ko Dilse Laga Liya
Andar Woh Nafratain Then Ke Bahir Ke Ho Gaye,

Kia Loog Thay Ke Jaan Se Barh Kar Thay Azeez
Ab Dilse Mahu Naam Bhi Aksar Ke Ho Gaye,

Aye Yaad-E-Yaar Tujhse Karain Kia Shikayatain?
Aye Dard-E-Hijar Hum Bhi To Pathar Ke Ho Gaye,

Samjha Rahay Thay Mujhko Sabhee Nasehaan-E-Sheher
Pgir Rafta Rafta Khud Usi Kahir Ke Ho Gaye,

Ab Ke Na Intezaar Karain Charagar Ke Hum
Ab Ke Gaye To Ko-E-Sitamgar Ke Ho Gaye

Arzoo Ya Hay K Izhar-E- Muhabbat Ker Loun

Arzoo Ya Hay K Izhar-E- Muhabbat Ker Loun


Alfaz Chunta Houn To Lahmhaat Badal Jatay Hain

Teri Khushbu Me Basy Khat Main Jalata Kaise

Teri Khushbu Me Basy Khat Main Jalata Kaise
Pyar Me Dhobe Hue Khat Mein Jalata Kaise
Tere Haton Ke Likhe Khat Mein Jalata Kaise

Jinko Dunia Ki Nigahon Se Chupaye Rakha
Jinko Ko Ek Umr Kaleje Se Lagye Rakha
Deen Jinko Jinhe Imaan Banye Rakha
Teri Khushbu Me Base Khat Me Jalata Kaise

Jinka Har Lafz Mujhe Yaad Hai Pani Ki Tarah
Yaad The Mujh Ko Jo Pegame Zubani Ki Tarah
Mujh Ko Pyare The Jo Anmol Nishani Ki Tarah
Teri Khushbu Me Base Khat Me Jalata Kaise

Tune Duniya Ki Nigaho Se Jo Bach Kar Likhe
Salhasal Mere Naam Barabar Likhe
Kabhi Din Me Toh Kabhi Raat Ko Uthkar Likhe
Teri Khushbu Me Base Khat Me Jalata Kaise

Pyar Me Dube Hue Khat Main Jalata Kaise
Tere Haton Ke Likhe Khat Me Jalata Kaise
Tere Khat Aaj Main Ganga Me Baha Aya Hun

Aag Behte Hue Pani Me Laga Aaya Hun

Tumhara Dil Jo Hai Janaa, Humare Naam Ker Daina

Tumhara Dil Jo Hai Janaa
Humare Naam Ker Daina 

Zaroorat Ger Pari Mujh Ko
To Main Kuch Or Mangon Ga 

Na Jaan Maangon Ga
Na Pehchaan Mangon Ga

Choti Si Guzarish Hai
Tumhara Sath Maangon Ga
Ager Naraaz Ker Dogi
Main Tum Se Rooth Jaon Ga

Bulana B Ager Chaho
To Wapis He Na Aaon Ga
Main Hasaas Larka Houn
Mera Dil Toot Jayega
Bohut Rona B Aayega

Ager Tum Maan Jaogi
Khushi Se Jhoom Jaonga
Tumhe Apna Banaonga

Ager Nazer E Karam Ho To

Mera Ik Kaam Ker Daina!

Tumhara Dil Jo Hai Janaa
Humare Naam Ker Daina

Monday, February 22, 2016

Mere Liye Meri Duniya Ho Tum

Mere Liye Meri Duniya Ho Tum
Chuu K Jo Guzre Wo  Hawa Ho Tum

Maine Jo Mangi Wo Dua Ho Tum
Kia Maine Mehsus Wo Ehsas Ho Tum

Meri Nazar Ki Talash Ho Tum
Meri Zindagi Ka Qarar Ho Tum

Maine Jo Chaha Wo Pyar Ho Tum
Mere Intizar Ki Rahat Ho Tum

Mere Dil Ki Chahat Ho Tum
Tum Ho Tu Duniya Hai Meri

Kaise Kahun K Sirf Pyar Nahin
Meri Jan Ho Tum

Khamoshi Mein Shor Tha, Maine Suna Kuch Bhi Nahi,

Khamoshi Mein Shor Tha, Maine Suna Kuch Bhi Nahi,
Usne Sab Kuch Keh Diya, Lekin Kaha Kuch Bhi Nahi,

Tujhko Kya Malum Aye Dost Tere Bagair,
Mera Jeewan Kat Gaya, Aur Main Jiya Kuch Bhi Nahi,

Huqum Ye Hum Ko Mila Uske Siwa Kuch Maangiye,
Uth Gaye Dast-E-Dua Lab Pe Kuch Bhi Nahi,

Pyaar Se Dekha Mujhe Jab Hai Usne,
Dil Dhadak Utha Mera, Usne Kaha Kuch Bhi Nahi

Qasid Paygham-E-Shoq Ko Itna Na Kar Taweel



Qasid Paygham-E-Shoq Ko Itna Na Kar Taweel


Bas Itna Un Sy Kehna K Ankhein Taras Gai

Zuban Kahti Hai Sara Qasoor Uska Tha



Zuban Kahti Hai Sara Qasoor Uska Tha

Zameer Kahta Hai Kuch Zemadar Main Bhi Houn

Eik Kasak Si Hai Dil Mein Maloom To Ho



Eik Kasak Si Hai Dil Mein Maloom To Ho


Chor K Mujh Ko Woh Kis Hal Mein Rehta Ho Ga

Tum Agar Bikhar Jao, Bebasi Mein Gir Jao

Tum Agar Bikhar Jao
Bebasi Mein Gir Jao

Dil Se Ik Sada Dena
Bas Mujhe Bula Lena

Main Tumhein
Sambhalooun Ga

Zindagi Mein Chalne Ka
Rasta Badalne Ka

Ik Hunr Sikhaounga
Tum Ko Hosla Doounga

Aur Jab Sambhal Jao
Roshni Mein Dhal Jao


Mujh Ko Yeh Sila Dena
Tum Mujhe Bhula Dena

Khooun K Rishtoun Se Aitbar Tou Uth Gaya

Khooun K Rishtoun Se Aitbar Tou Uth Gaya
Chalo Be-Nam Rishte Bana Kr Dekhte Hain

Hamain Maloom Hai K Tum Ne Hamara Houna Nhi
Chalo Tum Pr Ye Zindagi Luta Kr Dekhte Hain

Barishoun Ke Mausam Main Waqt Ke Andheroun Main

Barishoun Ke Mausam Main Waqt Ke Andheroun Main
Maine Us Se Poocha Tha Chorr To Na Jaoge

Hath Tham Ker Us Ne Kan Main Yeh Bola Tha
Kaise Chorr Sakta Hooun Tum To Jan Ho Meri

Aur Aj Aisa Hai Waqt Ki Tamazat Main
Wehshatoun Ke Mausam Main Maine Us Se Poocha Hai

Chorr Kar Hi Jana Tha Muskurati Galiyoun Main
Aas Kyun Dilayi Thi Pyas Kyun Jagayi Thi

Mere In Sawaloun Per Na Woh Chounka Na Woh Thehra
Chalte Chalte Itna Kaha Mausamoun Ke Khel Hain Sab

Dil Tere Hal Pe Ab Hassi Ati Hai, Tanha Chhor Jayenge Khabar Na Thi

Dil Tere Hal Pe Ab Hassi Ati Hai
Tanha Chhor Jayenge Khabar Na Thi

Logo Ne Poocha Muhabbat Kyun Ki Aye Nadan
Kaha Dil Tut Jayega Khabar Na Thi

Hum Unki Chah Me Bachpan Se Jawani A Pahuche
Aur Tab Pata Chala Uneh Hamari Zaroorat Na Thi

Logo Ne Poocha Muhabbat Kyun Ki Aye Nadan
Kaha Dil Tut Jayega Khabar Na Thi

Uski Doli Jab Uthi Dil Uska Khush Tha
Mere Asooyoun Pe Unki Ek Nazar Na Thi

Chalo Gam Nahi Is Bat Ka , Dil Phir Akela Ho Gaya
Malum Tha Meri Ratoun Ki Saher Na Thi

Dil Tere Hal Pe Ab Hassi Ati Hai
Tanha Chhor Jayenge Khabar Na Thi

Kasoor Unka Nahi Yeh Dil Diwana Tha
Rishta Jo Usne Nibhaya Woh Ashiquee Na Thi

Logo Ne Poocha Muhabbat Kyun Ki Aye Nadan
Kaha Dil Tut Jayega Khabar Na Thi

Dil Tere Hal Pe Ab , Hassi Ati Hai
Tanha Chhor Jayenge Khabar Na Thi

Kab Tulak Shab Ke Andhairay Mein Sehar Ko Tarsy

Kab Tulak Shab Ke Andhairay Mein Sehar Ko Tarsy
Woh Musafir Jo Bharay Shehar Mein Ghar Ko Tarsy

Ankh Thehray Howay Pani Se Bhi Katrati Hai
Dil Woh Rehroo Ke Samandar Ke Safar Ko Tarsy

Mujh Ko Uss Qehat Ke Mosam Se Bacha Rub E Sukhan
Jab Koi Ehal E Hunar, Arz E Hunar O Tarsy

Ab Ke Iss Toor Musalat Howa Andhaira Har Soo
Hijar Ke Rat Mairay Deeda E Tar Ko Tarsy

Umar Itni Tu Ata Kar Mairay Fun Ko Khaliq
Maira Dushuman Mairay Marnay Ki Khabar Ko Tarsy

Uss Ko Pa Kar Bhi Ussay Dhoound Rahi Hain Ankhain
Jaisay Pani Mein Koie Seep Gohar Ko Tarsy

Nashanasaye Ke Mousam Ka Asar Tu Daikho
Aina Khal O Khad E Ania Gar Ko Tarsy

Aik Dunia Hai Ke Basti Hai Tairi Ankhooun Mein
Woh Tu Hum Thai Jo Tairi Ik Nazar Ko Tarsy

Shoor E Sursar Mein Jo Sar Sabaz Rahi Hai Mohsin
Mousam E Gul Mein Wohi Shakh Samar Ko Tarsy

Tujh Se Mil Kr Bhi Kuch Kafa Hain Hum

Tujh Se Mil Kr Bhi Kuch Kafa Hain Hum
Be Murawat Nhi To Aur Kia Hain Hum

Hum Gam-E-Karwan Mein Behte Thy
Log Samjhe K Shikasta Pa Hain Hum

Is Tarah Se Hamein Raqeeb Miley
Jaise Muddat K Ashna Hain Hum

Rakh Hainhum Agr Ye Ag Bhujhe
Juz Dard-O-Gam K Aur Kia Hain Hum

Khud Ko Sunte Hain Is Tarah Jaise
Waqt Ki Akhari Sada Hain Hum


Q Zamaney Ko Ilzam Dein Faraz
Wo Nhi Hain To Be Wafa Hian Hum

Dua Main Ansuoun Se Mujh Ko Rab Se Mangti Thi

Dua Main Ansuoun Se Mujh Ko Rab Se Mangti Thi
Woh Mere Hijar Main Aise Bhi Din Guzarti Thi

Badal Gaye Teri Ankhoun Ke Zawiye Warna
Teri Nigah Mujhe Ku Ba-Ku Pukarti Thi

Har Ik Jawab Se Dilkash Thay Woh Haseen Lamhay
Woh Muskura Ke Jab Sawal Koi Talti Thi

Bacha Bacha Ke Nigahen Haya Se Dekhti Thi
Woh Ainay Main Kabhi Khud Ko Jab Sanwarti Thi

Main Us Ki Loh-E-Dil Pe Thehar Na Saka Faraz
Jo Nakhunoun Se Mujhe Patharoun Pe Karhti Thi

Darakht lagane nahi dete, phool khilne nahi dete,

Darakht lagane nahi dete,
phool khilne nahi dete,

ye sheher ke log,
kabhi muskurane nahi dete,

hai ragoun mein khooun afaid,
rang jamane nahi dete,

apne ho jayein paraye,
gair bhulane nahi dete,

rahe sauteli ma sa mausam,
bahar ane nahi dete,

ummid toot toot jaye,
andeshe azmane nahi dete,

andhere muqaddar ke bade,
chirag jalane nahi dete,

bad mayoos hai ye dil,
gam mitane nahi dete,

khojun hathoun pe lakeerein,
sitare ishare nahi dete,

niklun sehra ki taraf,
hosle jane nahi dete

Zar Ki, Namoos Ki Rasmoun Se Baghawat Kar Ke

Zar Ki, Namoos Ki Rasmoun Se Baghawat Kar Ke
Kuch Nahi Paye Ga Woh Mujh Se Muhabbat Kar Ke

Bayan Karti Hui Ankhen, Yeh Pareshan Zulfen
Or Kia Chahte Ho Us Se Muhabbat Kar Ke

Phool To Phool Hain Zakhmoun Ke Bhi Nakhray Hain Yahan
Hum Ne Dekha Hai Bohat In Ki Ibadat Kar Ke

Jo Kisi Jabar Pe Hountoun Ko Siya Karte Hain
Zulm Karte Hain Woh Zalim Ki Himayat Kar Ke

Dil Ke Sehraoun Ki Veerani Jati Hi Nahin
Teri Yadoun Ne Bhi Dekha Yahan Hijrat Kar Ke

Woh Mere Hijar Ko Bhi Khel Samajhta Hai Ehsas
Laut Jaye Ga Kisi Roz Shararat Kar Ke

Aye Dost Hum Ne Tark-E-Ta'lluq Ke Bawajood



Aye Dost Hum Ne Tark-E-Ta'lluq Ke Bawajood


Mehsoos Ki Hai Teri Zaroorat Kabhi Kabhi

Woh dil ki batein zamane bhar ko na yun sunata, mujhe batata

Woh dil ki batein zamane bhar ko na yun sunata, mujhe batata
woh ik dafa to meri mohabbat ko azmata, mujhe batata

zuban-e-halqat se jane kya kya bawar kara raha hai
kisi bahane ana ki deewar wo girata, mujhe batata

zamane waloun ko kya parhi hai sunein jo hal-e-dil shikasta
magar meri to yeh arzoo thi mujhe bulata, mujhe batata

mujhe khabar thi chupke chupke andhere is ko nighal rahay hain
main is ki rah mein apne dil ka diya jalata, mujhe batata

munir is ne sitam kiya ke shehr chor diya khamoshi ke sath
main is ki khatir yeh duniya sari chor jata, mujhe batata

Sholey, aanch, dhuaan aur aag



Sholey, aanch, dhuaan aur aag
haye mere gulshan ke bhag


tere ghar mein seep aur moti
mera hissa rait aur jhag

Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahan Nahin Milta

Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahan Nahin Milta
Kabhi Zameen To Kabhi Asman Nahin Milta

Dekhiye Jise Bhi Gum Hai Apne Ap Main
Zuban Mili Hai Magar Hum-Zuban Nahin Milta

Bhuja Saka Hai Bhala Kaun Waqt K Shaule Ko
Yeh Aisi Ag Hai Jisme Dhuan Nahin Milta


Ae Rab Aisa Nahin K Tere Jahan Main Mohabbat Nahin
Magar Jahan Iski Ummeed Ho Wahan Nahin Milta

Zindagi Ki Rahon Main, Koi Tumko Yaad Aye




Zindagi Ki Rahon Main
Koi Tumko Yaad Aye

Tum Usey Bhula Dena
Khwab Aa Ky Palkoun Pe

Bheeg Bheeg Sa Jaye
Aik Damm Mita Dena

Warna Laug Samjhenge
Koi Tumsey Roothha Hai

Aitebar Toota Hai

Toota Jo Aa ky Lab Py, Tera Nam Hi To Hai

Toota Jo Aa ky Lab Py, Tera Nam Hi To Hai 
Dil Mein Bas Aik Khuahish-E-Nakam Hi To Hai

Pehla Qadam Hi Akhri Hai, Uth Sake Agar
Manzil Yaqeen-E-Ishq Ki Aik Gam Hi To Hai

Rehne Do Wapsi Kay Liye Rasta Khula
Woh Bad Nahi Hai, Aik Zara Badnam Hi To Hai

Sabit Karega Kia Koi Ham Par Jafa Ka Jurm
Aik Roz Dhul Hi Jayega Ilzam Hi To Hai

Ker Lia Hai Faisla Kehna Usy, Abb Na Hoga Rabta Kehna Usy



Ker Lia Hai Faisla Kehna Usy
Abb Na Hoga Rabta Kehna Usy

Jis Pe Hum Chalte Rahen Hain Sath Sath
Kho Gaya Woh Rasta Kehna Usy

Teri Yadeen Dil Se Ruksat Ho Gain
Ho Chuka Yeh Saneha Kehna Usy

Abb Na Dekhay Ga Tumhara Rasta
Dil Ko May Samjha Chuka Kehna Usy

Cheen Se Soune Na Dega Ghum Tujhi
Rat Bher Abb Jagna Kehna Usy

Ashna Bun Ker Na Milna Rah May
Dosti Ek Khuwab Tha Kehna Usy

Mor K Pechay Dekhtay Hum Bhi Nahi
Soch Ker Munh Phairna Kehna Usy