Aah Jaan soz ki mahrumi-e-taseer na dekh
Ho hi jaayegi jeene ki koi tadbeer na dekh
Hadisay aur bhi guzre hain teri ulfat ke siva
Haan mujhe dekh, ab meri tasveer na dekh
Dekh zindaan se paray rang-e-chaman, josh-e-bahar
Raqs karna hia to phir paaun ki zanjeer na dekh
Yeh zara dur pe manzil, ye ujala, ye sukun
Khwab ko dekh abhi khwab ki ta'beer na dekh
Kuch bhi ho phir bhi dukhe dil ki sada hun nadaan
Meri baaton ko samajh talkhi-e-taqdeer na dekh
No comments:
Post a Comment