Youn bhi hua raat ko jab log so gaye
tanhayi aur main, teri baton mein kho gaye
tanhayi aur main, teri baton mein kho gaye
Aa dekh tujhse log jo rehte they door door
saaye mein teri yaad ke chup chaap so gaye
saaye mein teri yaad ke chup chaap so gaye
Hum woh jo sarey sheher ke kerte they faisley
hum log teri chaah mein ruswaa bhi ho gaye
hum log teri chaah mein ruswaa bhi ho gaye
Tum kya gaye ke waqt ka ehsaas mar geya
raaton ko jaagtey rahe aur din ko so gaye
raaton ko jaagtey rahe aur din ko so gaye
Ab zindagi ki shelf mein dhoonda karain ge log
arzaan huye hum itne ke nayaab ho gaye
arzaan huye hum itne ke nayaab ho gaye
Yaro wafaa ki raah main shiddat thi is qadar
tujh se they kitne log jo rastey mein kho gay
tujh se they kitne log jo rastey mein kho gay
No comments:
Post a Comment