Pages

Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Friday, February 19, 2016

Allah agar taufeeq na day, insaan ke bas ka kaam nahi



Allah agar taufeeq na day, insaan ke bas ka kaam nahi
Faizan-e-Muhabbat aam sahi, irfan-e-muhabbat aam nahi

Ya rab ye maqam-e-ishq hai kya, go deedah-o-dil nakaam nahi
Taskeen hai aur taskeen nahi, aaram hai aur aaram nahi

Kyun mast-e-sharab-aiash-o-tarab, taklieef-e-tawajjoh farmaayen?
Aawaz-e-shikist-e-dil hi to hai, aawaz-e-shikist-e-jaam nahi

Aata hai jo bazm-e-jaana mein, pandaar khudi ke tod ke aa
Aye hosh-o-khirad ke deewane, yan hosh-o-khirad ka kaam nahi

Ishq aur gawar khud karlay, bay shart shikist-e-faash apni??
Dil ki bhi kuch un ke saazish hai, tanha ye nazar ka kaam nahi

Zaahid tere in sajdon ke iwaz sab kuch ho mubarak tujh ko magar
Wo sajdah yahan hai kufr-e-jabeen, jo sajdah ke khud in'aam nahi

Ek shahid-e-ma'ni wo surat ke milne ki tamanna sab ko hai

Hum is ke na milne par hin fida lekin, yeh mazaq-e-aam nahi

No comments:

Post a Comment