Kamaal-e-aashiqui har shakhs to haasil nahi hota
Hazaaron mein koi majnoon koi farhaad hota hai
Jab yaad kisi ki aati hai, jab zikr-e-baharan hota hai
Aankhon se tapaktay hain aansu, daaman pe charagaan hota hai
Ehsaan jatanay lagta hai, jis waqt koi ehsan karay
Har lafz namak ban jata hai, har zakhm namakdaan hota hai
Jab zaahid-o-maikash bhuule se jaate hain mukhaalif simt kahin
Maikhaane sajaaye jaate hain, masjid mein charaghaan hota hai
Jab maslihatein chhaa jati hain, arbab-e-chaman ke zahnon par
Ta'meer ke pahlu mein pinhaan takhreeb ka samaan hota hai
Us gham ki latafat ko yaro kya ahl-e-khirad bhi samjhenge
Wo gham jo tabassum mein dhal ka chahray se numayan hota hai
Aye noor wo apni kashti ko har waqt sambhaale rahte hain
Maujon ki ravani se jin ko andaza-e-toofan hota hai
No comments:
Post a Comment