Kab Tulak Shab Ke Andhairay Mein Sehar Ko Tarsy
Woh Musafir Jo Bharay Shehar Mein Ghar Ko Tarsy
Ankh Thehray Howay Pani Se Bhi Katrati Hai
Dil Woh Rehroo Ke Samandar Ke Safar Ko Tarsy
Mujh Ko Uss Qehat Ke Mosam Se Bacha Rub E Sukhan
Jab Koi Ehal E Hunar, Arz E Hunar O Tarsy
Ab Ke Iss Toor Musalat Howa Andhaira Har Soo
Hijar Ke Rat Mairay Deeda E Tar Ko Tarsy
Umar Itni Tu Ata Kar Mairay Fun Ko Khaliq
Maira Dushuman Mairay Marnay Ki Khabar Ko Tarsy
Uss Ko Pa Kar Bhi Ussay Dhoound Rahi Hain Ankhain
Jaisay Pani Mein Koie Seep Gohar Ko Tarsy
Nashanasaye Ke Mousam Ka Asar Tu Daikho
Aina Khal O Khad E Ania Gar Ko Tarsy
Aik Dunia Hai Ke Basti Hai Tairi Ankhooun Mein
Woh Tu Hum Thai Jo Tairi Ik Nazar Ko Tarsy
Shoor E Sursar Mein Jo Sar Sabaz Rahi Hai Mohsin
Mousam E Gul Mein Wohi Shakh Samar Ko Tarsy

No comments:
Post a Comment