Zikr-e-shab-e-firaq se wehshat usye bhi thi
Meri trah kisi se mohabat usye bhi thi
Mujh ko bhi shoq tha naye chehron ki deed ka
Rasta badal k chalne ki aadat usye bhi thi
Us raat dair tk wo raha mahv-e-guftugoo
Masroof main bhi kam tha fraghat usye bhi thi
Sunta tha wo bhi sab se purani kahaniyan
Shayad rafaqaton ki zaroorat usye bhi thi
Mujh se bichar k shehr mein ghul mil gaya wo shakhs
Halan-keh shehr bhar se rafaqat usye bhi thi
Wo mujh se barh k zabt ka aadi tha je gaya
Wrna hr aik sans qayamat usye bhi thi
Tanha hoa safr se to mujh pr khula ye bhed
Saaye se pyar dhoop se nafrat use bhi thi
No comments:
Post a Comment