Dua Main Ansuoun Se Mujh Ko Rab Se Mangti Thi
Woh Mere Hijar Main Aise Bhi Din Guzarti Thi
Badal Gaye Teri Ankhoun Ke Zawiye Warna
Teri Nigah Mujhe Ku Ba-Ku Pukarti Thi
Har Ik Jawab Se Dilkash Thay Woh Haseen Lamhay
Woh Muskura Ke Jab Sawal Koi Talti Thi
Bacha Bacha Ke Nigahen Haya Se Dekhti Thi
Woh Ainay Main Kabhi Khud Ko Jab Sanwarti Thi
Main Us Ki Loh-E-Dil Pe Thehar Na Saka Faraz
Jo Nakhunoun Se Mujhe Patharoun Pe Karhti Thi

No comments:
Post a Comment