Zar Ki, Namoos Ki Rasmoun Se Baghawat Kar Ke
Kuch Nahi Paye Ga Woh Mujh Se Muhabbat Kar Ke
Bayan Karti Hui Ankhen, Yeh Pareshan Zulfen
Or Kia Chahte Ho Us Se Muhabbat Kar Ke
Phool To Phool Hain Zakhmoun Ke Bhi Nakhray Hain Yahan
Hum Ne Dekha Hai Bohat In Ki Ibadat Kar Ke
Jo Kisi Jabar Pe Hountoun Ko Siya Karte Hain
Zulm Karte Hain Woh Zalim Ki Himayat Kar Ke
Dil Ke Sehraoun Ki Veerani Jati Hi Nahin
Teri Yadoun Ne Bhi Dekha Yahan Hijrat Kar Ke
Woh Mere Hijar Ko Bhi Khel Samajhta Hai Ehsas
Laut Jaye Ga Kisi Roz Shararat Kar Ke

No comments:
Post a Comment