Hui hai shaam to aankhon men bas gaya phir tu
Kahaan gaya hai mere shahr ke musaafir tu
Bahut udaas hai ik shakhs tere jaane se
Jo ho sake to chalaa aa usi ki khaatir tu
Meri misaal ki ik nakhl-e- khushk-e-saharaa houn
Tera khayaal ki shaakh-e- chaman ka taair tu
Main jaanta houn ke duniya tujhe badal degi
Main maanta houn ke aisa nahin bazaahir tu
Hansi khushi se bichhar jaa agar bichharna hai
Ye har maqaam pe kya sochta hai aakhir tu
Faraz tu ne use mushkilon men daal diya
Zamaana saahib-e-zar aur sirf shaayar tu
No comments:
Post a Comment